Bass tab tak na rok, tab tak yuhi jaam bharunga
Fir kisi manzar me teri talaash karunga bass tab tak na rok, tab tak yuhi jaam bharunga Aaj bhi tere yaado ko mausikhi me bhar ke jeeta hu, Bikhrte rehte hai fir bhi tere khwaab roj chun chun ke sita hu, Tera jitna intezaar kal tha, me kal bhi utna hi karunga bass tab tak na rok, tab tak yuhi jaam bharunga Teri hi shikaayat thi hamesha ki mujhpe yakeen karna mushkil hai Kab tak tera haath thaame chalunga, ye samjhna mushkil hai Mere wajood pe bhi tujhe shak tha, ke kya me sach me hu jo me hu Is baat ka kya bharosa, ke me jo tha wo kal bhi wahi rahu Maine to tab bhi kahaa tha, ab tujhbin nahi rahunga Bass tab tak na rok, tab tak yuhi jaam bharunga Kahi door hai ab tu, ye bhi nahi pataa kahaa hai Mere liye kuchh nahi badlaa, teri aahte abhibhi yahaa hai Tune khud raah badali thi soch ke , kahi me chhod ke na chalaa jau, Mujhko to tab bhi nahi tha ilm, ke gar tujhe chhodu bhi to kahaa jaau Ek baar kahi door hi dikh jaa yaar, bass tujhe jii bhar ke dekhunga Bass tab tak na rok, tab tak yu...