Jaat kya, Dharm kya...
Jaat kya, Dharm kya, Baap ka tha karm kya
Itne saare prashno me, uttaro ka marm kya
Kaam, Lobh, rakt-paat, iska prapanch kya
Janm purv shuru is khel ka hai anty kya
Vaasnaa se nirmiti hai mere is sharir ki
Matr pitr sab ko kaamnaa thi randhir ki
Meri kirti vishw me atyant nitaant ho
Meri har katha ka ant atyant sukhaant ho
Ichhaho ke maa baap ka, tha kabhi ant kya
Jaat kya, Dharm kya...
Jaat Dharm ek hai, Hum sabhi samaan hai,
Paisaa maatr kuchh nahi, usse lete saamaan hai
Ram navmi, Eid aur christmas sukhi tyohaar hai
Maine sunaa ganatantr me prem-bhav apaar hai
Astitv mera jaise, ishwar ka drishtaant kya
Jaat kya, Dharm kya..
Saraswati mandir me dnyanarjan karne gayaa
Upsthiti me guro-jano ki dharm tha puchha gayaa
Hindu hu, islaam hai aur pita ka kya kaary hai
Dnyaan paanaa hai to ye har chij aniwary hai
Dharm ek hai, tha is baat ka fir arth kya
Jaat kya, Dharm kya..
Paathshala ne bataaya dnyan shulk bhinn hai
Jaat meri kya hai, ispe mera vyay bhinn hai
jaati meri uchch hai to roon bhi me jyada bharu
Koi any vyathit na ho ye yatn jyada karu
Hum sabhi samaan hai, ye baat fir thi vyarth kya
Jaat kya, Dharm kya..
Ek kaksha thi ye meri, sabhi ka karm ek tha
Dnyanarjan karne ka uddishtya sab ka nek tha
Saath padhna, sath khelna, kya sukhad wo vishw tha
Ashwmegh tha pariksha, dnyaan ka hi ashw tha
Praapt goon jo bhi hamaare, karte saamarthy vyakt kya
Jaat kya, Dharm kya..
Dnyanarjan ho gayaa ab prahar tha ye kaary ka
Chakshu khol, arth aur anaarth dekha aary ka
Jaati sabki bhinn thi to bhinn prathmikta thi
kisiko wo kahaa mila jiski aavashyakta thi
Uchchy varn janm lena kya hai koi paap kya
Jaat kya, Dharm kya..
Saty aur asaty se upar hai ab sahi galat
Unka arth bhi pramaanit, yahi sahi, yahi galat
Karno ka upyog me, mastishk se jyada karu
Naapasandi apni me kahne se sadaa daru
saamajik vidhiyo me he buddhi meri vyarth kya
Jaat kya, Dharm kya..
Aaj me kuchh bhi kahu, tark pe hai toltaa
Nirnaayak bana samaaj, ab arth mere khojta
Dharmbhakti, Rashtrbhakti ab sabse mahaan hai
Vande maataram priy tha mera, ab anivaary gaan hai
Swatantrata jo haq tha mera, uska hai koi arth kya
Jaat kya, Dharm kya..
Varn, Dharm, Jaat se har koi hai bataa hua
Allah, Ram, yishu, budhdh, har guru hai dataa hua
kuchh bhi kahu me, meri dharmaandhta tatolte,
Kuchh na kahu to, mujhko saare shanddh bhi hai bolte
Meri ichha aur pasand banaaye mujhko bhakt kya
Jaat kya, Dharm kya..
Rashtrbhakti ab mere vyaktitv ki pahchaan hai,
Chikh jiski jo badi, har vyakti wo mahaan hai
Haath jodu to vyatit hoti meri dharmandhta
Swadharm ko galat kahu to saamaajik anurupta
Dharm, Desh, Sahi, galat se alag mera vyaktitv kya
Jaat kya, Dharm kya..
Raashtrbhakt saare wo jinhe kabhi dekha nahi
Kaary kiska saty hai, is baat ka pataa nahi
Godse, Gandhi, Savarkar me kya thi samaanataa
Paksh lena kyu meri bani hai anivaaryta
Nishpaksh gar me jiu to, jivan hai mera vyarth kya

Comments
Post a Comment