Kabhi raat me kya tum jaagte ho

Kabhi raat me kya tum jaagte ho?
kabhi apni yaado se bhaagte ho?
Kya dil kabhi bhar aata itna ke
muh se saanse lena pad jaaye?
honth bhinch ke roye ho itna ke
har aansoo palko pe add jaaye?

Kya dard hua hai itna kabhi
ki sine me ek jalan uthe?
Kya yaad kabhi yu aayi hai ke,
har rag rag me ek chubhan uthe?
Ek baar kabhi mahsoos hua ke
is ghootan me jaan na nikal jaaye?
honth bhinch ke roye ho itna ke
har aansoo palko pe add jaaye?

Har roj subah jab aankh khuli
to kya aankho me ek chehra tha?
Har hansi pe, har muskaan pe teri,
Kya anjaane dard ka pahraa tha?
Har jhuthi hasi pe tumhe lagaa ke
naa nikal yahi pe dam jaaye?
honth bhinch ke roye ho itna ke
har aansoo palko pe add jaaye?

Gar ye sab tumne bhi jhela to
kya karte ho ye batlaa do.
Har pal yahaa dum ghutataa hai,
Mujhko bhi jinaa sikhla do.
Paagalpan hai ye ke chaahta bhi nahi,
ke ye dard kabhibhi mit paaye.
honth bhinch ke roye ho itna ke
har aansoo palko pe add jaaye?


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Was it a mistake...

में तेरे गीत पढ़ता हूं, क्योंकी..

Taale me chhup ke baithaa hai..